गुरुवार, 4 जुलाई 2013

nadan bachpan

chalo phir dhoond lete hain
usi nadan bachpan ko
unhi masoom khushiyon ko
unhi rangeen lamhon ko
jahaan ghum ka pata na tha
jahaan dukh ki samjh na thi
jahaan bus muskrahat thi
baharen hi baharen thi
k jub sawan barasta tha
tu us kagaz ki kashti ko
bana ' na aur dabo dena
bohat acha sa lagta tha
aur is duniya ka har chehra
bohat sacha sa lagta tha
chalo phir dhondh lete hain
usi masoom bachpan ko.


कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

thanx for your valuable comments